Berang si mei , berang sa wo, berang se hum…!!!!!!!!!!
Rangeen si is duniya me rang kayi hai …..
Par mujhsa berang kahi nahi …..
Har rang me jaisi ek chamak hai …
Mera berang sa rang dekhkar maayoos hoti me …
Rang koi chadte hi nahi mujhpe …
Lagi koshish karne koi rang chadhane mujhpe…..
Dhoondhne lagi ki konsa rang mujh par khil uthega…..
Mujhsa berang koi tha waha khada …
Par wo berang kaafi mohak tha…
Jitni nazar churaaoo uss be rang se ,
Utni hi nazar daudti uspe….
Kahi uss berang ko bhi ye rang mohak toh nahi laga ..?
Mene apne aap ko dekha …
Mera berang bhi khilne laga ….
Kya yahi wo berang hai jo mujhe rangeen karega..?
Wo berang kadamo ke faasle kam karte hue ,
Mujh tak aa pohocha….!!!
Aur apne berang se rang me muhe doobo diya….
Yahi berang sa rang me dhoondh rahi thi …
jo mujhme milkar khud bhi khil utha …
dono ka wo berang kayi rango se bhi chamak raha tha…
berang si me , berang sa wo, berang se hum khill uthe…
No comments:
Post a Comment